nabh se upar hote h kuch sapne,
jinhe pane k liye ek panchi,
banna hota h,
naa jane kitne nirmukt panchi ,
in sapno ko pane ki chah rkte hn.
manzil ka safar yun hi tay nahi hota hn,
usme naa jane kitni bebasi,laachari,
har din ek nayi kashmakash hoti h.
us nirmukt gagan mai har panchi ki apni udaan hoti h,
kabhi 2 ek panchi bhul bisarkar dusro k sapno ko apna smj leta h,
lekin wo bhul jata h,uska ek apna wazood hn,
jaha wah dusro se nahi kud ke hausle se udaan bhar raha hn,
aur ek din us gagan chumbi nabh ko apne inhi hausle ki udaan se chu lega.